Tuesday, 24 July 2012

na jaane KYU . . . !

gham dene the agar khush rehna sikhaya kyu !
door jana tha hi agar , toh itni paas bulaya kyu ?

dekhi thi duniya ik apne dhang se !
toh is duniya ko ik pal main apna banaya kyu ?

jalata tha main diye khushiyo ke andhero main !
toh uss andhere main apni lau jagayi kyu ?

peepal ke ghane saaye the muskuraate upar !
us saaye main apne aap ko basaya kyu ?

lagti thi pyaari woh geeli mitti ki khushbu . . !
uss khushbu ko apne ragho ki mehak banaya kyu ?

hoti hai galtiyan insaano se bewajah !
toh anjaane main hi sahi , dil se nahi , galat insaano ko apna banaya kyu ?

diye the sachhe waade tune kuch iss tarah !
ki uth gaya bharosa un waado ke naam se hi zara . .

pyaar toh hota hai har jagah . .!
milta hai kuch hi ko agar khaas ho wajah  . .

jodi thi lakeere apne haatho ki tujhse . !
un lakeero ko dusre ka muquaddar banaya kyu ?

banayi thi duniya jiske saath in haatho se . !
us haath ko achanak apahich banaya kyu . ?

pata tha tujhe , teri taveez main kaid thi khushi is dil ki . .!
toh apne dil ki dor se usse yuh churaya kyu . ?

likhi hoti hai taqdeer dilo ki pehle se !
arey mita nahi sakta isse aise koi nehle ke dehle se !


gham dene the agar khush rehna sikhaya kyu !
door jana tha hi agar , toh itni paas bulaya kyu ?




No comments:

Post a Comment